Kaun ho tum

Hausle ki dor ko jakad
Zinda hai hum
Ab toh maut se bhi puch liya hai
Kaun ho tum

Mukkadar toh na badlega
Soch rahe hum
Ab toh manzil se hi puch liya hai
Kaun ho tum

Thakte nahi kadam Yeh ab
Chal rahe hai hum
Rasto se bhi puch liya hai
Kaun ho tum

Aur zinda rehna hi zindagi nahi
Yeh jaan gaye hai hum
Ab toh zindagi se bhi puch liya hai
Kaun ho tum

Ab kya mandir Aur kya masjid
Sab bhul gaye hai hum
Ab toh khuda se bhi puch liya hai
Kaun ho tum

Anjan se humko lagte hai
Chehre saare aaj
Ab toh aaine se bhi puch liya hai
Kaun ho tum?